Koi ummid bar nahi aati [Ghalib]

koi ummid bar nahi aati koi surat nazar nahi aati No hope comes my way There is no solution in sight maut ka ek din muayyan hai nind kyuun raat bhar nahi aati When for a death a day is ordained Then why does sleep evade me all night aage aati thi haal-e-dil pe hansi ab kisi baat par nahi aati I used to laugh at the state of my heart But now I am unable to laugh at anything janta huun savab-e-taa.at-o-zohd par tabi.at idhar nahi aati Thought I know the benfits of religious devotion But it doesn’t excite me hai kuch aisi hi baat jo chup huun varna kya baat kar nahi aati This is why I am quiet Otherwise, do you think I don’t know how to converse kyuun na chikun ki yaad karte hain meri avaz gar nahi aati Why shouldn’t I yell in joy remembering old days But my voice fails to produce sound daagh-e-dil gar nazar nahi aata bu bhi ai charagar nahi aati You don’t see the anguish in my heart O healer, the scent of my pain eludes you ham vahan hain jahan se ham ko bhi kuchh hamari khabar nahi aati I am now at such a point Where I don’t even get any news of me marte hain aarzu mein marne ki maut aati hai par nahi aati I die yearning as I hope for death Death comes to me, yet it doesn’t kaaba kis munh se jaoge ‘ghalib’ sharm tum ko magar nahi aati Ghalib, How will you go to the Kaaba When you don’t even feel ashamed Rekhta ...

January 1, 2016 · 2 min · dheedoranjha